Sunday, 12 January 2020

Dow ajanabi ekk shahar men



Dow ajanabi ekk shahar men
Anuradha yadav - 25               
Lilavati devi - 45 saal  
Muralidhar yadav - 50 saal        
Suman yadav  -23 saal
Kamal Narayan yadav - 23 saal
Foola buaa  -48 saal
Dadi  -75 saal ( tin bachcho ki alpayu hone ke baad muralidhar ka janma)
priya  -25 Anuradha ki friend (Mumbai)
Venkata Swamin kalian - 25 saal     (dhanush talvaar)
Parvati kalian  -45 saal
Mukteshwar swamin kalian - 48 saal     
Mr. & mrs mehata - 60, 56 saal (Mumbai)   
kamal - 31 Venkata ka dost (Mumbai)

location  utter Pradesh ke Banaras zile ka gopalganj gaon, Bengaluru  city ka jaynagar ilaka, Mumbai, home, office.

Anuradha ka pariwaar ekk middle class kisan hai jo es present time men apani chhoti chhoti samsyaon se joojh raha hai. Anuradha ke papa Muralidhar Yadav apane elake ke baahubali hain, gaon men unaki kafi ejjat aur samman hai log unase darate nahin balki unaka aadar karate hain. Uttar Pradesh ke Banaras zile ka gopalganj gaon jo aadhunikata ki daur men kandhe se kandha milakar chal raha hai. Gaon men har sukh suvidha hai. Shahar aur gaon men sirf ekk matra antar hai shahar men log 10 baje se ofiice men kaam karate hain aur yahan log subah sham kheton men kaam karane jaate hain.
Kheti ke liye bhi paryapta aadhunik sansaadhan hain, jaise tractor,harvester, tubewell, sinchaai ke liye pipe etc. yahan gehoon chaval ki kheti ke saath saath ganna makka aalo chana matar saraso arahar aur hari sabjiyon ki bhi kheti hoti hai. Hari sabjiyon ko pahale mandi men fir Banaras jaise shahar men bechane ke liye le jaaya jata hai. Es gaon men har koi khud men samriddh hai. Kisanon ki dayaniy dasha jaisa kchh bhi nahin hai. Sabake paas apane ghar hain, khet hain aur har koi apana kaam khud hi karata hai.
Bachche school aur college men parhate hain. Es aria men ek sarakari aur anginat private school hain jo best se better English medium shiksha dete hain. Aur har tisare chauthe saal ekk naya school bhi khul raha hai. Mobile, laptop, internet, facebook,  what’s up, tiktok, instagram, twitter, like jaise aap par bhi log jydaatar samay bitaate hain. English parhai bhi karate hain aur English men baat bhi karte hain. Yahan bhi star plus zee TV colors bindas aur MTV jaise channel dekhe jate hain.
Venkata ka pariwaar bhi ekk middle class family hai jo Bengaluru ke jay nagar ilake men rahata hai. Usake papa ek private company men job karate hain, aur mammy house wife hain. Venkata Bengaluru university se engineering ki parhai kar raha hai, usaka last semester hai. Venkata ka parivaar shahar ki tang galiyon vale ekk bedroom vale ghar men rahat hai. Enka vistaar chhota hai, kamaai etani ho jati hai ki ghar ka kharch achchhe se chalane ke bad kuchh savings bhi kar le. Tin logon ka ek khushahaal pariwaar hai. Ghar men basic sukh suvidha ke sab saman hain. Falatoo kharchi nahin hai aur na hi falatoo chijen ghar men hain.
Kahaani ki shauruaat hoti hai jab Anuradha ka tisara novel published ho kar aata hai jiaki samikshha news paper men bhi aai hai. Ghar men khushhaali ka mahaul hai, sabase jyda khush Anuradha ki dadi hain. Apne jamaane men panchavin parhi dadi aaj ki generation ke dasvin ke chhakke chhura deti hain. Thora sa syllabus change ho gaya hai aur yah angreji aa gai nahin to vah kisi se kam nahin hain. Hindi novel hone ki vajah se dadi bhi parh leti thin. Aur sabko bula bula kar dikhati thin – dekha  hamare anu ka upanyas chhap kar aava hai bahut brhiyan likhati… are samachar patra men bhi likha hai usake baare men. Kisi ko hath men nahin deti thin bas book dikhatin opar ka caver dikhatin aur lekhak Anuradha yadav likha huaa dikhatin thin.
Anuradha bhi bahut khush thi lekin vo esake aage bhi jana chahti thi. Novel upanyas story paper magzine ki kahaniyon ko ek chhota aa parha likha varg hi parh pata hai. Vo apani soch ko jan jan tak pahuchana chahati thi. Esaka ek matra madhyam use drishya media yaani films aur serials hi najar aata tha vo Mumbai jana chahati thi taki vahan jakar vo filmon aur serials men lekhak ke taur par kam kar sake.
Lekin Bollywood ki chamak dhamak se har koi vakif hai. Glamour ki duniya hai vahan kam milana etana aasan to nahin hoga. Lekin fir bhi vo Mumbai jana chahati thi. Jisake liye sabase pahale papa ko manana tha. Papa ko manaana etana aasan nahin tha, apane bachchon ki sequrity har koi dekhata hai fir yeh jamaana bahut kharab hai larakiyan safe nahin hain, aise akele kaise jaane dete. Pahale to vo bilkul bhi taiyaar nahin ho rahe the fir Anuradha ke jyaada zid karane par bole thik hai jaao lekin shadi ke baad.
Shadi ke baad kisaka career banata hai. Please mujhe sirf aap dow saal ka samay de dijiye fir aap jahan kahenge main shadi ke liye taiyaar hoon… please sirf dow saal….
Papa ke manane ke bad fir aur Koi nahin kuchh bola. Aur vo din bhi aa gaya jis din Anuradha Ghar se nikali Mumbai jane ke liye vah bhi akeli. Train ka safar bas sochate huye nikal gaya kya krungi kaise karungi. Google map ka sahara net ka sahara sab kuchh tha esaliye darane ki koi bat nahin thi. Kalpanaon ki duniya aabad rahi vahan jakar yeh karungi vo karungi esi excitement men safar kab kaise kat gaya pata hi nahi chala.
Venkata ka University se hi campus selection ho gaya jisake vajah se Mumbai ke ek international company men job lag gai. Pakeg achchhaa tha naukari bhi achchhi thi Amerika jane ka mauka bhi tha lekin abhi to Mumbai me kam se kam ekk mahine ke liye jugar karna tha. Mumbai mahanga shahar hai lekin chalo ho jayega kisi tarah. 10000 rupaye lekar Venkata bhi chala Mumbai duty ko join karane. Paison ki planing rahane ki jagah basic saman Mumbai ki chamak dhamak har chij romachak thi.
Dadar railway station dow ajnabi dow alag alag train se utare. Anjana shahar, anajane log, bhagambhag har koi bhag raha hai bhag nahin raha daur raha hai, duniya ki bhir Anuradha ne to kabhi dekhi hi nahin thi. Sabse jyada aashcharya ghabrahat to Anuradha ko hi hui Banaras jaise chhote shahar se aai Mumbai jaisi mahanagari men khone lagi. Bag uthaye bina jane kahan jana hai chalne lagi Google map men search kiya. Station se bahar nikal rahi thi ki samane se aate huye kisi se jor se takarai bag hath se chhoot gaya chillai lekin vahan sunane vala koi nahin tha. Fir bag uthai aur bahar ki taraf nikali. Pahale se hi search kiya tha ki saare production house lagabhag Andheri west me hi hain es liye usi aria men room liya ja sakata hai. Vo fir local train se Andheri station par aai fir station par hi ruk gai. Rat station par hi gujarane ka tha lekin rat ke 1:30 par ekk polish officer ne use vahan se hataya aur ekk ladies waiting room bataya jahan usane Mumbai men pahali rat gujari. Ekk vahi nahin thi vahan station par aur bhi bahut log the unhin bahut men Venkata bhi tha Jo dusare chhor par baitha tha kyu ki hotel search kiya to budget ke bahar nikala.
Subah public washroom me dono nahaye fir apane apane kam par gaye. Usake bad fir apane budget men room ki talash men. Dow din aise hi bit gaye. Aaj ke modern duniya men internet hamari aadhi samasya hal kar deta hai. Yahan aisi koi jankari nahin hai Jo na mil sake. Yahin se pata chala ke ekk jagah hai jahan paying guest par room upalabdh hai lekin shart hai ki shadishuda hona zaruri hai. Donon ne socha chalo dekhate hain ho sakta hai room single ko bhi mil jay budget men hai jakar pata karne men kya jayega.
Anuradha pahale pahuchi Ghar ka garden to bahut achchhaa tha bahar se Ghar bhi achchhaa laga socha kash ke yeh room mil jay man hi man bhagavaan ko yad karke door well bajai. Andar se ek pachas pachapan ki ek lady nikali. Anuradha ke bolane se pahale hi poochha kis liye aai ho room dekhane, kya naam hai, kahan se aai ho kya kaam karti ho yahan. tum akele aai ho tumhara husband kahan hai vo nahi aaya….., savalon ki bauchhar ho gai sochane lag gai ab kya kahun... soch hi rahi thi tab tak Venkata aa gaya. Achchhaa vo hai … chalo aao dekho. Room dikhaya Jo bilkul apane jaisa laga. Vahan ki ekk khas baat yah thi ki sirf apane bag lekar aana tha baki sab jarurat ka saman vahan tha. Dono chup chap room dekh liye. Aur lady apani terms and conditions batati rahi. Kai log aaye kahate hain de do maine saaf mana kar diya main sirf pati patni ko hi yahan rakhungi kisi aur ko nahin…..
Room to bahut achchhaa hai pasand aaya hamen ham sham tak batate hain aur kal tak shift bhi ho jayenge. Venkata ne kaha to Anuradha usaka munh dekhane lagi. Thik fir ID prouf apane office ka address aur das hajar advance lekar aana. Okk
Yeh kya kaha aapne abhi andar main aap ke sath nahin rah sakati main aap ko janati nahin aur aapne kaha ham pati patni hain….. Anuradha Venkata par gussa hone lagi.
Excuses me maine nahin kaha…. Aur tum kyu nahin boli kuchh tum bhi to mana kar sakati thi fir kyu nahin kiya …
Vo room achchhaa tha esaliye chahati thi ke mil jay….dow din se Andheri station par rah rahi hoo….
Vahi…. Vahi main bhi chahta tha… kya station par… kis station par Andheri…yaar main bhi to dow din se vahi rah raha hoon.
Achchhaa dikhe nahin kabhi…. Ab kya karen room to har haal men chahiye…mere pass ek plan hai…
Kya…
Ham unake samane husband wife ki tarah rahenge aur room men vo dekhane to aayengi nahin to kuchh na kuchh ho jayega… sirf kuchh  mahine ki bat hai fir dekhenge kya karana hai… okk
Haan abhi to okk hi hai sar chhipane ke liye chhat Jo chahiye…
Thik hai fir done …. Tumhara naam kya hai…
Anuradha yadav … tumhara….
Venkata Swamin Kalyan
Etna baraa….
Haan hamare yahan to naam aise hi hote hai
Sauth Indian ho kya
Haan... aur tum
Banaras
Achchhaa… Banaras ekk bar ka main bhi gaya hoo …...
Rat bhar men ek dusare ke bare men puri janakari ho gai thi dono ko. Phone karake bata diya ki room pasand hai kal ham aa jayenge.
Subah 8 baje hi dono pahuch gaye vahan, aur ekk aadarsh couple ka natak shuru kar diya. Apana saman almira men rakh baki saman vyavasthit kar dono apane apane kam par chale.
Venkata ka kam to tay tha office bhi tha usake kam ka nishchit time bhi tha lekin Anuradha ko productions house ke chakkar lagane parate the. Har jagah se bas ekk hi reply ke requirements nahin hai. Aath baje tak bahar rahane ke bad thaki hui room par pahuchi.
Mr. And Mrs. Mehata dono bahut hi sajjan vyakti hain lekin donon ki koi bhi aulad nahin hai. Esaliye vo rent par husband wife ko rakhate hain ya family valon ko rakhate hain. Aur landowner jaisa kisi ke sath bhi vyavahar nahin karate hain. Renters men vo apane bachcho ko dekhate hain bhagavaan ka diya sab kuchh hai unake pas bas santan ke sivay. Khana pina uthana baithana sab sath hai bas rent dena parata hai. Anuradha aur Venkata ka aaj pahala din hai esaliye dono abhi jyada ghul mil nahin paye hain.
Anuradha Ghar pahuchi to Venkata aa chuka tha. Fresh hokar aaram ki kuchh batavara subah huaa tha Jo baki bacha tha rat ko kiya, jaise bed par ekk mahine Anuradha soyegi ekk mahine Venkata, bathroom sabase pahale kaun jayega kitana donon me bat hogi aur room ki vyavastha ko kaun kaun dekhega aur kis tarah par yahan ka rahana manage kiya jayega. aur fir das baje khane ki tabel lag gai dono khana khane gaye. Khana khate samay kuchh office ki bat hui kuchh donon ki shadi ki kuchh mehata couple ki. Mehata’s ki baaton men thora Pyar hota thori sakhti.
Mehata's ki aadat thi ki vo raat ko khate samay drink karate the renters ko pata na chale esaliye pani ke jug men rahata tha. Durghatana jab honi hoti hai to barason ki parampara bhi toot jati hai. Achchhe achchhe kaam hote hote rah jate hain. Aur jo koi Kalpana bhi nahin kar sakta aise ajib garib kaam ho jate hain.
Venkata aur Anuradha ekk dusare se anjaan the. Mehata’s ki baton ka jawab kya dena hai kaise dena hai donon yeh kahani banana bhool gaye. Jab prashnon ki bauchhaar hui to jawaab match nahin huye aur harabaraahat men Anuradha ko sunsuni charh gai. Sunsuni charhana teekha lagana durghatanaon ke pahala paydan hote hain aur pata nahin kyu esaka shikar girls hi hoti hai. Aur yahi huaa Anuradha ko bhi khate khate achanak sunsuni charh gai. Vo khansane lagi aur Venkata turant jug se pani glass men lekar pila diya. Mehata's shokk yeh kya kar diya lekin kuchh kah nahin paye bhed jo khul jata.
Pahali baar drink koi bachchon ka khel nahin hota aur nasha sambhalna sabke bas ka bhi nahin hota aur yahi huaa Anuradha ke sath. Vo hava men urane lagi hosh khone lagi aur Venkata sambhalne laga. Anuradha kabhi hansati kabhi roti kabhi gati kabhi chillati. Venkata pareshan kya karata jaan na pahachan main tera mehaman vali sthiti ho gayi thi.
Larakon ka cantrol power bahut kamjor hota hai aur samane ekk laraki ho jo hosh men nahin hai aur usake kamare men hai aur karib hai usake bahon men hai usaki har saans ko mahsoos kar raha hai usaki dharakanon ko sun paa raha hai usake har body parts ko tuch kar raha ho to cantrol power kyu na kamajor ho aakhir hai to mard hi.
Ajib hai cantrol power aadmiyo ka kamajor hota hai aur charitrahin auraten hoti hain. Fir aaya vo weak moment jahan ke bad kuchh bacha hi nahin saare sanskar dhare ke dhare rah gaye. Nid subah men khuli to Anuradha ko laga vo Banaras men hai aur bagal men usaki bahan soi hai jakad kar pakar liya. Venkata rat bhar soya nahin kya huaa kaise huaa kyon huaa men hi ulajha rah gaya. Yeh kya ho gaya main esase najar kaise milaaunga kya kahunga main esase……. soch soch ke pachhtata raha.
Kuchh second bad hi ahasas huaa ke bagal men bahan nahin koi aur hai… kaun hai…. Achanak se uthi lekin fir khud ko thakana para kapare Jo nahin the sharir par. Jor se chillai Venkata Jo sone ka natak kar raha tha utha munh pakar liya jisase aavaj bahar naa jay. Anuradha rone lagi Venkata sorry sorry bolata raha.
Daravaje par dastak hui dono sambhale najaren daravaje par gai bahar se naukar bola saab nashte par bula rahe hain aap log aa jaiye. Venkata bola- o..okk….
Khud ko samet kar Anuradha bathroom men chali gai. Venkata uth kar vistar sahi kiya room bikhara huaa tha use sahi kiya room saf kiya tab tak Anuradha bahar aa gai fir vo bathroom men gaya.
Ab donon ek dusare ki taraf dekh bhi nahin rahe the parchhai barane vali bat ho gai thi. chupchap bahar aaye nashte par baith gaye. Mr. Mrs mehata bat karate rahe Venkata Haan hoon kar deta lekin Anuradha khamosh rahi. Mrs mehata ne poochha to Anuradha bahana kar gai ki tabiyat thik nahin hai…
Kam ki talash men bhi nahi gai. Kal hi plan banaya tha ki kahan kahan jana hai. Lekin aaj kahin bhi jane ki himmat nahi hui din bhar bas sochane men bita diya ki yeh kya ho gaya. Kaise ho gaya aur ab kya hoga…..
Es ghatana ke bad donon ne ekk dusare ko najar uthakar nahin dekha aur na hi ekk dusare se bat ki. Ek mahine ka din sadamen aur pachhtave men nikal gaya.
Rat ka khana kha rahi thi tabhi ulti jaisa feel huaa bhagi vahan se. Fir subah men taiyar hokar nikal rahi thi tabhi chakkar aa gaya aur gir pari. Venkata ne call karake doctor bulaya socha rat men thik se khana nahin kha pai shayd esi vajah se chakkar aaya ho lekin doctor ne to bum for diya - you are pregnant….
K...k...kya??? Dono ke munh se nikala. Pairon tale ki jamin khisakane lagi sar chaharane laga. Etane dinon bad dono ne ek dusare ko dekha Anuradha ki aankhon men shikayat thi yeh kya kiya tumne aur Venkata ki aankhon men sharm aur pachhtava tha yeh kya ho gaya mujhse…..
Mrs Mehta Saath men hi thin vo khushi se badhaiyan dene lagin. Unhen kya pata ki kya seen ho gaya hai. Aur ab dono ko jabardasti muskurana para. Mrs mehata ne khoob saari hidayaten de di ki Anuradha ka khyaal rakhana ese dukhi mat karana khane pine ka khyaal rakhana jyaada bhaag daur mat karana etc etc.
Unake baahar jaane ke baad dono sar pakar kar baith gaye … ab kya hoga … Anuradha ne apane pet par hath fera to ekk nanhen mehaman ka ahasaas huaa, usaki saari fellings hi badal gai.
Career ke es shuruaati morh par jahaan parivaar ke saath saath khud ke bhi sapane the jo ab daav par lag gaye the. Badanaami ka dar nahin kahar tha jisaka saamana abb kaise hoga.
Dono taiyaar hokar office nahin ja paaye the.Venkata ne phone karake office men inform kiya ki aaj vah office nahin aa raha hai. Aur Anuradha ka to koi office hi nahin bana tha abb tak.
Venkata bag rakh kar kapare change kiya fir Anuradha ke paas aakar baith gaya jo ab tak bed par hi sudhbudh khoye baithi thi.
s..s..ssorry …. Maaf kar do mujhe…
anuradh kuchh na boli sirf sar jhukaye jaise baithi thi baithi rahi koi harakat bhi nahin hui usamen.
Tum k..kya soch rahi ho… ab…. Matalab abb kya karenge….
Anuradh ne munh fer liya.
Agar.. tum chaaho to abortion …. Anuradha usaki taraf dekhi to vo chup ho gaya… a.. ag.. agar… agar tum taiyar ho to main…shaadi … bhi… karane ko taiyaar hoon. Dhire dhire aawaz slow ho gai.
Anuradha ne jhat se usaka kaler pakar liya vo sambhalata esake pahale hi pichhe ki taraf gir gaya. Aur sambhal to auradha bhi nahin paai sath hi vah bhi gir gai lekin kaler nahin chhora. Gussaa etana jyaada tha naa sharm aayi na hansi aayi haan dil men ekk halachal si kab se ho rahi thi.
Jab Venkata ki dharakanon ka ahasaas huaa to uth gayi jo gussa tha ab shayad kam ho gaya tha usaki jagah sawaalon ne le liya gilt ne le liya pachhtave ne le liya- kyon kiya aapane aisa… mujhe to kuchh bhi yaad nahon… kya aapko bhi yaad nahin… aap bhi hosh men nahin the kya…. Sorry maine shayad galat samajha aap ko… sach sach bataiye kya aap bhi hosh men nahin the… agar haan to fir ham donon ki galati hai … nahi sirf meri galati hai main etana kamajor character ki maalkin thi mujhe to pata hi nahi tha… main to apane aap ko bahut strong samajhati thi…. Aur agar nahin to fir kyun kiyaa…. Ham to ekk dusare ko jaanate bhi nahin the  fir  aisa kaise ho gaya …. Ekk dam shaant lahaza tha ekk afsos saaf saaf jhalak raha tha. Afasos ess baat ka tha ki kya sach men etani kamjor thi main… mainne kyun nahin roka …
Venkata kuchh nahin bola kyun ki sirf vahi janata tha ki vah hosh men tha galati sirf usi ki hai vahi khud ko control nahin kar paaya tha lekin abb esaka khamyaza donon ko bhugatana tha. Anuradha kya kya kahati rahi vo apani sochon men gum raha kuchh suna hi nahin.
Tab tak Anuradha ka phone baja dekha to ghar se call tha. Abb kya kahe tab to ghar ki yaad aa rahi hai kah kar sabse jhooth bol kar bahur roya tha lekin abb kya kahe. Phone rakh diya, aankhon se aansu bahane lage uth kar washroom chali gai, vahan jakar khoob royi jo abb tak shant thi.
Venkata baahar chala gaya room se, kuchh der garden men baitha raha fir market ki taraf chala gaya. Anuradha munh dhoyi baal saware ekk glass paani piya aur fir ghar phone ki- vo mammy main washroom thi haan ghar par sab log kaise hain…….
Venkata vaapas aaya to usake hath men bahut saare fruits chatpati snacs aur emali lekar aaya jise dekhate hi Anuradha aag baboola ho gai- yeh sab kya hai… tum yahan bachcha planning karane aaye ho… haan… tumhen kya lagata hai ki main yahan bachcha paida karane aai hoo… haan… kabhi socha hai jab meri family ko pata chalega to kya bitegi unake oopar … haan… jite ji mar jaayenge, rone lagati hai,… pata nahin kaun si manahoosh ghari thi jab main tumase mili… meri buddhi bhrashta ho gai thi jo tumhare plan ka hissa bani… mujhe kya pata tha ki tumhara plan kya hai…. Kash ki ekk chhan ke liye bhi tumhara plan samajh pai hoti….
Venkata sar pakar kar baitha raha chup chap. Jab tak vo gussa thi tab tak kuchh nahi bola lekin jab rone lagi to dekha nahi gaya.
Yaar mera aisa koi plan nahin tha … mera plan to sirf sar chhupaane ka tha aur vo sab pata nahin kaise ho gaya… main shaadi karane ke liye taiyaar hoon naa…
Tuhare liye bahut aasan hai na kah diya ki shadi kar loge… etana aasan hai kya… main kya jawaab dungi apane pariwaar ko gaon ko samaaj ko… kya kahenge log mere bare men…. Yaar jis duniya ki main hoo vo bahut  hi chhoti hai maana ki ham aadhunikata ki daur men sath hain lekin apani sanskriti ko nahin chhorate … ham mordenism ke naam par nanga naach nahin karate….
Main… main karunga tumhari family se baat ki shaadi karana chahata hoo…
Fir bhi jab tak baat karoge sab taiyaar honge tab tak pata chalane lagega ki main pregnant hoon…. Aur mujhe aaye huye abhi ekk mahina hi huaa hai etana jaldi shadi ki baat … nahin nahin kuchh aur karana parega, usane apne pet par haath fera aur Venkata use dekhata raha…
Rat bhar neend nahin aai bas sochati rahi kya kare ki family ki badnaami na ho. Daag to lag hi gaya hai bas chhite se pariwaar ko kaise bachaye. Shaadi abortion dow hi option samane the. Shaadi etana aasaan nahin tha ekk to other cast dusare khud hi batana parega. Koi bhi taiyaar nahin hoga. Taiyaar hone men lagabhag teen chaar mahine lag hi jayenge tab tak sabako pata chal jayega… to fir abortion hi thik hai…, kal hi jaakar doctor se salaah leti hoon…. Abortion nahin abortion pills le lungi… haan yahi karungi… abhi jyada din to huaa nahin hai, aur jab haath  ferati pet par to shaadi ka faisala sahi  lagata. Shadi ka khyaal aate hi Venkata ki taraf dekhati to dil men ekk halchal si hoti. Aise hi rat beet gai lekin bahut lambi ho gai thi pata nahi subah jaldi ho hi nahin rahi thi aur na hi need aa rahi thi.
Subah jab ghar se nikali to pata nahin tha kahan ja rahi hai bas taiyaar hokar nikal gai. Ekk dow production house men gai lekin vahi reply ya to ham baahar ke writer nahin rakhate ya abhi requirement nahin hai.
Man thaka thaka tha kya kare kya na kare, kuchh samajh men hi nahin aa raha tha. Dopahri ki dhoop men yun hi bhagi ja rahi thi ki ekk medical stor dikha, ruk gai jaun ya na jaun men aakhir stor par gai. Pahale stal se munh baandha ke dhoop hai fir stor par gai.
Vo chaahiye mujhe… vo….. bhoolane ka natak karane lagi.
 Kya chaahiye…?
Are yaad nahin aa raha… bahana kiya, haan yaad aaya GRD pawder chaahye, hai aapke paas…
Shopkiper dekhakar bola- nahin…GRD pawder to nahin hai agar aap kaho to main stor se lekar aata hoon…
Are nahin… ekk kaam kariye aap laakar rakh dijiye main kal aakar leti hoo.
Are maidam dow minat lagenge… aap rukiye main abhi laaya…
Thik hai….
Anuradha ki samajh men kuchh nahin aa raha ki kya kare, kitana mushkil hai abortion ki medicine lena.
Esake baad man nahin kiya fir aur kahin jaane ka so siddha room par hi chali aai. Ab thora sa bhi chal leti hai to jaise thak jati hai. Ghar pahuchate hi bag rakha kapara bhi change nahin kiya aur so gai. Uthi to raat ke 9 baj rahe the. Venkata kab aaya aur kahan gaya kuchh pata nahin kyon ki vo andar se door lock karake so gai thi aur vo use jagaya hi nahin bas baahar mehata uncle ke saath baithkar baaten karata raha.
Diner ke liye Pintu ne jaakar knock kiya tab vah jagi. Rat men usane google par abortion pills aur unake price ke bare men search kiya. Sab to bahut mahangi mahangi thi bas ekk thora budget men thi jise copy kar liya. Fir medicine shoper se kaise medicine lungi esake bare men tarah tarah ke tarike sochati rahi….
Dusara mahina chal raha tha uss room men sift huye esliye Venkata ki baari thi bed par sone ki. Kal to himmat nahin hui lekin abb use Anuradha ki care karani thi usaki halth se lekar har chhoti bari jarurat ka khyaal rakhana tha bhale hi vah use dekhana nahin chaahati ho. Pata nahin kyun dono hi ekk dusare ko dekhana hi nahin chahate the saamana karane se katarate the, esaliye jab Venkata ko laga ki Anuradha so gai hogi tabhi vah kamare men aaya to dekha vo sofe par so rahi thi. Jab ki darawaja khulate hi usane sone ka natak karana shuru kar diya tha.
Abb Anuradha ko jagaakar kahana ki jaao bed par so jaao kisi jung ka agaaj karane se kam nahin tha lekin agaaj to karana hi tha. Kuchh der lagaa sochane men kuchh der laga man men kahane men aur jab munh se shabd foote to saamane vaala bahara nazar aaya. Ekk baar kaha dow baar kaha kai baar kaha lekin koi response nahin mila.
Sochha lagata hai gahari nind men so rahi hai … haath se chhoo kar jagana munaasib rahega kya…. Lekin fir bhi usane pahale chhuaa kapara fir chhuaa haatha aur fir aaya toofan…. Jisaka use dar tha. Uss din to vah sofe par hi soyi rahi. zid bhi thi gussa bhi tha aur kal ke liye ekk plaan bhi tha.
Jyada let karana thik nahin hai. Usane jaate hi sabase pahale medicine khareedane ke bare men socha. Pahale to munh baandh liya aur doctor ki di hui parchi ki tarah ekk paper par likh liya taaki munh se batana naa pare aur kaam bhi ho jay.
Aisa hi kiya aur medicine lekar siddha ghar aai. Sochate vicharate kha gayi. Pahar intajaar kiya dowpahar intajaar kiya poora din gujar gaya lekin koi asar nahin huaa. Jaise jaise samay bitata dil baiha jata. Abb kya kare fir vahi samasya aan pari. Intajaar men dusara din bhi bit gaya lekin asar nahin huaa to nahin huaa.
Abb aakhiri option bacha tha abortion…. Jisake liye paise aur himmat dono ki aavashyakata thi. Usane google par nearest gynecologist hospital search kiya. Kai option dikhaye, sabako chack kiya reting dekhi fee dekhi ghar se doori dekhi aur doctor ka experience sab dekhane ke baad ekk final kiya. Phone karake appointment bhi le liya. Sham 5 baje ka time mila tha aur vah 4 baje hi pahunch gayi.
Dar ghabarahat haan nahin kya karun kya na karun sab tha, kabhi man karata uth kar bhaag jaaun fir aage kya hoga. Sochati rahi tarah tarah ke khyaal man men aate rahe lekin baithi apani baari ka intajaar karati rahi.
Jab vah apani baari ka intajaar kar rahi thi tabhi Venkata bhi apne dost ke saath hospital men aaya tha, dost ki wife ko lebarpain tha. Pahale dekha to dhyaan nahin diya, jab dusari baar dekha to usaka number aa chukka tha, andar se Anuradha Yadav naam pukaara gaya to anayaas hi palat kar dekh liya to sach men Anuradha hi thi jo uth kar andar ja rahi thi. Dil dhakk se kiya kya abortion karavaane ja rahi hai ya doctor ko dikhane.
Rat men gar pahucha to vah soi hui thi lekin aaj get khula huaa tha andar se lock nahin tha. Andar gaya to kafi shor kiya taaki vah kuchh bole lekin jab nahin boli to khud hi shant ho gaya. Fir sochate darate dhire dhire usake karib pahuncha chaddar hataya- k… kar… karava… liya?
……
Abortion…. Karva liya… maine dekha tum hospital men thi… vo actually mere ekk dost ko laraka huaa hai aaj… main bhi saath tha usake… tabhi dekha tumhen… achchha kiya… yahi kana chahiye tha….
Lekin auradha ekk shabd bhi na boli.
Pintu khaane par bulaane ke liye aaya. Venkata ko laga ki Anuradha to jaayegi nahin isliye esaka khana main yahin laakar de deta hoon.
Bahar gaya aur khana nikaalane laga- vo aaj anu ki thori tabiyat kharab  hai ess liye main room men hi lekar jaa raha hoon…
Haan haan koi baat nahin aise men tabiyat thori bahut kharab hoti rahati hai… jyaada kharaab ho to doctor ko dikha dena.
Thik hai aunty …. Vah khana nikaal hi raha tha tabhi Anuradha bhi aa gai aur dusari plat lekar khana nikaali aur khud khane lagi. Aur tab jo plat Venkata usake liye nikaal raha tha khud khaane laga.
Aaj usane Anuradha ke behavior men thora sa parivartan dekha. Use aashcharya bhi huaa aur achchha bhi laga. Aaj vo uncle aunty se baat bhi kar rahi thi usane Venkata ko roti bhi pass ki. Aaj vo ekdam se alag lag rahi thi Venkata to samajh hi nahin paa raha tha ki kya ho gaya hai ese.
Net ka sahara hi to ekk matra sahara tha jisake sahare Anuradha Mumbai jaise bare shahar men rah rahi thi aur kahin bhi aa jaa le rahi thi. Usane script writer ke liye google par search kiya to quikr app khula jahan khud ko register karane ka ekk prosses diya jahan usane khud ko register kiya.
Tisare din ek laraki ka call aaya. Ham mahak films se bol rahe hain, aap writer ho hamare yahaan vaicancy hai aap hamaare office aa sakati hain. Yah usake liye pahala offer tha vah khush ho gai sochi shaayad mere safar ki pahali sirhi ho. Vah office ka address li aur agale din pahuch gai.
Vahan 40, 45 saal ka ekk aadami tha jisase usaki metting thi. Vah aadami ekk number ka khoosat nikala, kaam ki baat to ekk bhi nahin kiya bass falatu ki baaten hi kiya. Usane kaha vacancy koi nahin hai laani parati hai main tumhare liye jagah bana dunga you don’t warry…. Usaki baton se Anuradha andar tak dar gai kitana kamina aadami hai, vah soch rahi thi ki agar kaash mere haath men chaku hota to saale ka khoon kar deti. Vah usi samay sochi ki bag men ekk chaku jaisi koi chij bhi honi chahiye.
Raste men chaku vaala to dikha lekin chaku sef nahin tha metro men ya mall vagaira kahin bhi jahan cheking hoti hai vahan pata chal jaayega. Kuchh aisa hona chahiye jo chaku ki tarah hi ho lekin chaku na ho. Aur fir khyaal aaya paper cuter ka. Ess par ekk sean bhi yaad aaya. Jab vah Banaras men study kar rahi thi to ekk baar aise dar ki vajah se paper cuter li thi. Paper cuter lene ke baad apane friend se boli- agar esase kisi ko maarenge to vo mar jayega. Dost to nahin suni fir dobaara puchhi to shoper bola – haan mar jaayega…
 haaan?
Kitani sharmindagi hui thi, jab bhi yaad aata hai to muskurahat hoton par aa hi jaati hai. Vah ekk stationary ki dukan se ekk paper cutter li jo bag men suraksha ke liye hamesha raha.
Venkata ko abhi tak pata nahin tha ki uss din Anuradha ne abortion karava liya tha yaa nahin lekin ekk baat jo thi vah sochane vaali thi ki abb vah khush rahati apana khyaal rakhati zyada gussa nahin hoti aur Venkata se chirhati bhi nahin.
Venkata har roz  poochhana chahata lekin himmat nahin hoti thi ki poochhe lekin abb poochhe bagair raha bhi nahin jaa raha tha kyonki tiin mahine ho gaye the aur abb thora thora parivartan bhi aa raha tha usake sharir men.
 Office se nikalane men Venkata ko thora late ho gaya. Ghar pahuchane ki koyi jaldi bhi nahin thi. Kyonki ghar pahunchate hi chinta gussa sawaal bechaini sabb gher leti thi, lekin ekk baat to thi Anuradha kya chaahati hai esaka pata nahi lag paa raha tha use. Vah esi baat ko sochate vichaarate chala ja raha tha ke ekk local gundon ka group bike par jaa raha tha jinase Venkata takara jata hai. Kya bey dikhaayi nahin deta … fir maar pit hone lagi. Venkata bhi kahan kam tha usane bhi baraabar dhoya. Aur fir polish sabako pakar kar le gayi. Call Anuradha ke paas gaya pahale to bahut gussa aaya fir man nahin maana to polish station jaana hi para.
Raat ka diner karane ke baad Venkata ne aunradha se baat karane ka socha tha lekin jab vah room men pahuncha to vah so gai thi  lekin fir bhi himmat karake baat karane ka socha. Pahale to bed ke paas khara hokar hi bola- mujhe tumase baat karani hai. Jab koi reply nahin mila to bed par baith gaya fir chaddar hata kar puchhana para jisamen lagabhag paanch se saat baar laga tha puchhane men- mujhe tumase baat karani hai….
Kya…. Anuradha ne aankh khole bagair hi puchha.
Tum… uss din… mera matalab hai….
Nahin.
Kyon….?
Meri marji….
Yaar … main bhi to hak rakhata hoon naa jaanane kaa….
Kyon….?
Aakhir baap hoon main esaka….
Baap… kaisa baap… shadi hui hai hamaari… yaa abb karoge … nahin karoge …
- tum kahogi to shadi kar lunga…
kar loge… jaise ahasaan karoge mujh par… main gussa thi khud se tum se… mera gussa hona jaayaz bhi tha lekin tum… tumane mujhase baat karana zaruri bhi nahin samajha… mere dard ko, meri takalif ko, samajhe tum… tum kya jaano kitane stress se gujar rahi thi main parivaar ki badanaami samaaj ka darr aur khud ki chinta… nahin samajh sakate tum….
 Yaar.. kyun nahin samajh sakata main… mujhe laga ki tum gussa ho esliye darr lagata tha tumase baat karane men …
Khaa jati main tumhen … maar daalati… gussa hi thi naa kabhi manaane ki koshish ki… nahin naa….
Donon ghanton larate rahe jhagarate rahe aur last men Anuradha ne bag pack kiya aur ghar se nikal gai.
Nahin pata tha kahan jaaungi kya karungi Venkata fir vaapas lene aayega yaa nahin yaa sidhe ghar jaaungi yaa koi aur room milega yaa fir andheri station hi nasib hoga.
Raat din jaagane vaali Mumbai soti nahin to shant to hoti hi hai. Raat ke karib 12:30 baj rahe the jab vah ekk bas stop par rakhi brench par baithi thi.
Gussa to Venkata bhi tha kyunki jo jo baate Anuradha ne kahi thi usase usaka igo hart ho gaya tha aur vah bhi so gaya lekin need nahin aa rahi thi. Socha kuchh der baahar rahegi to khud hi samajh men aa jaayega to vaapas aa jaayegi.
Filmi scene bearish ko bhi tabhi aana tha, Anuradha ka vaapas na aana abb tension men daal raha tha. Tiin mahine ki aadat, insaaniyat aur dil men jo mohabbat janm le li thi bechaini barha di.
Vah bhi bhaga bhaga gaya pichhe pichhe… dhoodhata raha idhar udhar lekin Anuradha kahin bhi dikhi nahi. Aunradha ekk to patale se brench par sikur kar baithi thi dusare khud ko bachana bhi tha bhigane se tisare bag bhi bachana tha. Aur edhar Venkata bhi barish men bhigate huye hi edhar udhar bhatak bhatak kar use khoj raha tha.
Bhaaga bhaaga ja raha tha ki door se hi bas stop ki brench par simati hui baithi nazar aai. Ekk sukoon mila tha paas gaya to dekha vo ro rahi thi.
-        Anu….Anuradha ….
Sir uthai to saamane Venkata tha rona abb aur control nahin huaa foot foot kar rone lagi. Venkata jhat se khich kar kiss karane laga. Anuradha ko to samajh hi nahin aaya ki kya, kab, kaise huaa jab hosh aaya to koi aisa tha jo ahasaason ke ufan par tha, kisi ki majaboot baahon ki sequrity thi, koi uss par besumaar pyaar barasha raha tha jisaki dharakanon ke toofan ko vah sun paa rahi thi mahasus kar paa rahi thi….
Agar pyaar ko ess sthiti men express karane ka koi tarika hai to vah yahi sabase best hai esase aage kuchh hai hi nahin. Kiss to aaj Anuradha ne bhi kiya tha vah bhi hosho havaas men…
Room par aane ke baad sab thik tha. Dono ekk dusare ka baal sukhaye fir kapare change karake dono bed par hi so gaye. Venkata ne nishchay kiya ki abb kal hi main mammy se baat karunga.
Jitana dar tha utani dikkat nahin hui papa ne saf kah diya – jab tumane soch liya hai to ham kya kar sakate hain.
Singal family aur shaharon men rahane vaali family ko jyada dikkat nahin hoti hai lekin gaon men rahane vaali family ko bahut kuchh dekhana parata hai. Yahan ekk vyakti ki baat nahi hoti pure gaon ki baat hoti hai , fir bhi koi kand ho jay to gaven gaon fail jaati hai aur jaise jaise falati hai bari se vikaral roop dharan kar leti hai. Yahan baaten jungle ki aag ki tarah ka to pata nahin petrol ki aag ki tarah failati hain aur sab kuchh nasht kar deti hain kisi ko safai dene ka bhi mauka nahin milata hai. Ganvai logon ke paas ijjat bhi sabase zyada hoti aur badanami beijjati bhi das guna raftaar se hoti hai. Esliye dar to sirf Anuradha ke paas tha ki khud ki shaadi ki baat kaise kare. Ess par bhi kai tarah ki baten banengi aur apane  papa ko kitane vishvaas ke saath raazi kiya tha yahan Mumbai aane ke liye abb kaise kahe ki ekk laraka hai jisase main shaadi karana chahati hoon kyonki main usake bachche ki maan banane vaali hoon…
Usane socha ki abhi shadi kar lete hain baad men dekha jayega kya hoga ya kya karana hai.
Pahale court men registration marriage kiya fir mandir men jaakar fere liye. Abb sab kuchh thik chal raha tha bass dow hi baton ki fikra thi ekk to career ki dusare ess bachche ke roop men jo toofan aane vaala tha esaki.
Anuradha ne net se search karake ekk bhi production house nahin chhora, sab jagah pahuchi ekk baar nahin kayi kayi baar gayi aur har jagah se ekk hi baat ya to requirement nahin hai yaa ham baahari writer nahin lete hamaare khud ke writer hai. Ekk jagah jaati to dow teen production house aur mil jate, vahan bhi chali jaati. Kuchh jagah se mail ID milati jis par story synopsis mail karati lekin koi reply nahin.
Aise hi bhatakate bhatakate ekk film production house men pahunchi jahan receptionist ne baithane ko kaha fir call karake puchha to andar jaane ka mauka mila jahan par ekk aur produser ke roop men kamina baitha tha. Story sunaane ko bola, jab sunaai to bich men hi rok diya. Bola- story men dam nahin hai bharat ki ekata ki baat abb kaun karata hai. Agar Kashmir alag hona chahati hai to ho jaay, northeast alag hona chahata hai to ho jaay sauth alag hona chahata hai to ho jaay. Yahan bhai bhai men nahin ban rahi alag ho ja rahe hain to vo to alag alag culture ke alag  boli bhashha ke aur alag prajaati ke hain to alag hona chaah rahe hain to kya galat hai. Aaj ke samay men story ekk vyakti ke jivan par kendrit hoti hai chaahe vo female ho yaa male. Aur filmon men dikhane ke liye mashala chaahiye. Abhi ke samay men deshprem deshbhakti paariwaarik aadarshvaadi filmen kaun dekhata hai. Aap film line men kaise chali aayi aap ko to teacher hona chaahiye lecture achchha deti ho … bachchon ko parhaiye…. Aapko nahin pata ki aaj kal kaisi filmen chal rahi hain…
-Sir pata hai …Lekin aisi filmen to kab aai aur kahan gai pata bhi to nahin chalata hai lekin achchi filmen aaj bhi log dekhate hain… prem rattan dhan paayo kitani achchhi hai…
-To kaun banaya hai rajshri… star kaun hai salaman khan aur sonam kapoor… aadhi se jyada kamai to sirf naam par ho jaati hai. Abhi ke samay men mirjapur, gaings of wasepur jaisi filmen chalati hain …
-Lekin sir yah filmen kis samaj ki hoti hain mujhe to samajh hi nahin aata… esamen jo roop striyon ka dikhata hai vaisi striyan kahan hain…
-Kya baat karati ho har aadami janata hai ki 99% striyan kam se kam tiin mardon ke sath so chuki hoti hain. Pahala college ka boyfriend dusara office ka boss tisara husband nahin extra marital affair …
Esake baad fir Anuradha ne kuchh nahin kaha aur vo munh chutakaar chutakaar kar bakawaas karata raha.
Haan kuchh baaten to sach hi kah raha tha abb ki filmen woman power ki karati hai freedem ki baat karati hain aur freedem kahan rahata hai har kisi ke saath sex karane men. Hamaare desh jahan larakiyon ko sirf sharir samajha jata hai jahan sare raah rap jaisi ghatanaayen hoti hai jahan dahez ke laalach men larakiyan prataadit ki jaati hain yaa maar di jaati hain jahan larakiyon ko apana man pasand career chunane ki aazadi nahin hain jahan larakiyon ke akele kahin bhi jaane men khatara hai jinhen apana man pasand jivan sathi chunane ka hak nahin hain vahan freedem chaahiye sirf  jisase man kare usase sex karane ki….
Mai koi ratio nahin de rahi lekin jin auraton par kahaniyan banati hai unaki larai sirf sex ke liye nahin hoti. Sex to rap men bhi hota hai shadi ke baad bhi hota hai compromise men bhi hota…. Larai to barabari ki hai aadhe aasaman ki hai sirf sharir nahin insan banane ki hai….
Hindi bhojapuri Marathi jitane bhi production house mile sab men gai lekin kahin koi baat nahin ban rahi thi. Aab thakan si hone lagi thi man thakane laga tha ki shaayad mere liye yahan jagah nahin hai.
Sunday ka din tha Venkata ke sath Big Baazar gai thi. Vahan par usake gaon ki ekk laraki suman use dikhi thi, bachane ki bahut kishish ki lekin vah dekh li, vo bulaai lekin yah gai nahin vahan se nikal gai. Aur vo suman apane ghar phone karake bata di ki aaj maine Anuradha ko dekha ekk larake ke sath thi aur shayad pregnant bhi hai. Maine bahut bulaaya lekin vah dekhate hi bhag gai.
Etana hi kahana tha ki petrol vaali aag pure gaon mohalle aur aas paas ke gaon men fail gai. Gaon bhar men khusar fusar hone lagi. Edhar Anuradha bhi pareshaan ki dekh liya hai to jarur ghar bataai hogi… abb kya hoga?
Suman ke hi papa aaye Anuradha ke papa Muralidhar ko batane. Aur aisi bhoomika bandh kar bataye ki unhen kuchh samajh hi nahin aaya ki kya Karen. Vo Lilavati ko bataye… abb kya kiya jaay pura gaon jaanata hai. Tabhi to maine dekha vo log kuchh baat karat rahi hamake dekhi to chup hoi gai aur hamake dekhai lagi hamahun kuchh puchhe naahin bas chale aaye…
U to kuchh batai nahi ki shadi kar li hai chala Mumbai chal ke dekhate hain…
Vo log turant taiyaar hokar Banaras airport par gaye fir vahan se Mumbai. Andheri station ke aas paas hi hai usane bataya tha esliye vo use call kiye jab andheri phuch gaye.
Uss samay vo taiyaar ho rahi thi juhu jaane ke liye. Tabhi call aaya ki ham station par hain. Venkata ko bhi rok li ki office na jaay nahin to vo akele sambhal nahin paayegi.
Well bajane par get to Pintu hi khola to bole ki ham Anuradha ke mammy papa hain. Mehata uncle ekk batoli aadami sara kachcha chittha vahin khol diye. Aaj unhen bhi pata chal gaya ki ye dono married nahin the. Sab log shok aaj hi pata chala ki pani ki jagah vo sharab pi li thi aaj hi pata chala ki sirf Anuradha hi nashe men thi Venkata nahin vo to apana control kho baitha tha. Aur shadi kar li dono ne yah bhi pata chala. Turant Venkata ke papa ko phone kiye aur bulaaye. Venkata ne flite ka tiket bheja tiin ghante baad vah log bhi Mumbai aa gaye the.
Bahut baaten hui gussa gussi hui jhagara larai huaa chillam chilli bhi hui aur nishkarsh yah nikala ki abb hamen enn dono se koi lene dena nahin hai jo marji aaye vo karen jaise man kahe vaise rahen abb ham enake koi nahin hain.
Bahut roi thi Anuradha. Esi baat se to darati thi vah papa ka gussa jaanati thi vah. Gussa to ekk shabd hai uss felling ko naam dene ka. Lekin vah vishvaasghaat tha, bharosha tutana tha, ekk kalank tha jo pure pariwaar ke maathe par lag gaya tha ekk roshh, tha ekk pachhataava tha, afasos tha aur aise hi bahut kuchh tha jo tut gaya tha.
Pore pariwaar men ekk tanaav sa ho gaya tha, Venkata Anuradha uncle aunty sabb apani apani jagah shaant ho gaye the. Venkata bagiche men jhoole par baitha tha jab uncle aakar paas baith jaate hain.
Abb Anuradha kaisi hai….
Ro rahi hai…
Haan thora sa time to lagega… saari galati hamaari badkismati ki hi hai ….
Nahin aapki nahin hai galati to hamaari hai aur sabase jyaada meri( imotional ho jata hai)
Kuchh der uncle chup rahate hain fir kahate hain..-
Hamaara bhi beta  tumhaari tarah hi hota…  (Venkata unaki taraf dekhane lagata hai) lekin ekk accident ne sab kuchh chhin liya yahan tak ki tumhaari aunty ki kokh bhi…. Rat rat bhar jaagati rahati thi roti rahati thi aur use samajhaane ke kaabil to main bhi nahin tha… unhin dinon sharaab ki aadat lagi jo abb zindagi ka hissa ban chuki hai…
I am sorry….
Pata hai yahaan kayiyo renters aate hain aur chale jaate hain lekin tum logon se jo rishta ban gaya hai vo kisi se nahin ban paaya…
Hamen bhi kabhi aap log ki vajah se ghar ki kami mahasoos nahin huyi…(uncle ke gale se lag jaata hai)
Ghar aane ke baad muralidhar ki tabiyat kharab ho gai. Dadi afsos karati rahin lekin Lilavati ko apani beti par yakin tha jo baaten vahan hui sab baton par yakin tha unaki beti charectorless nahin hai esaka bhi yakin tha, yakin to Muralidhar ko bhi tha lekin logon ko samaaj ko kya kahenge kitane logon se kahenge. Badanaami ke kahar ne unaki kamar tor di, mahina bhar bistar par rahane ke baad suman ke liye rishta talaash kiye aur shadi ekk mahine ke andar hi kar diye Anuradha ko bataye bhi nahin.
Edhar Anuradha ka strugel khatm hone ka naam hi nahin le raha tha. Uss ghatana ke baad ekk week tak kahin nahin gai. Fir juhu ki taraf gai. Vahin par ekk laraka mila jo Gorakhpur ka tha aur hero banane aaya tha usane                      ke bare men bataya bola- vo freshers ko mauka dete hain khaas kar ke apane purvanchal aur UP vaalon ko. Unake paas jao aur apani story sunao vo jarur tumhari kuchh help karenge.
Net se search karake pahale aram nagar men diya vahan gai to pata chala yahan hai vahan hai. Edhar udhar daurane ke bad kai logon se puchhne ke bad ekk sajjan mile jinhone bataya ki ab unaka office                 men sift ho gaya hai aur unaka card diya, vah fir                    gai to gatkiper ne ekk week baad aane ko bola. 
                        naam to bahut suna hai sabaki tarah yahan bhi kuchh aisa na ho please bhagavan ji. Sabhi devi devataon ko manate huye andar gai to receptionist ne kaha – baitho thora intajaar karo.
Ekk juaari ki tarah aakhiri patta tha jo shayad kismet badal deta aur aakhiri patte vale juaari ki tarah usane sare devi devataon ko bhi manaya har shay shocha ke kaise impress karungi kya kahungi kaise kahungi kya vo kahenge sab ki tarah yahan bhi huaa to? Sari soche yahi khatma ho jati lekin fir bhi ekk ummid thi jise vo chhorana nahin chahati thi.
Receptionist ne aakar kaha yah lo gmail ID aur ess par mail kar do. Requirement hui to aapko call kiya jayega. Aah!  Fir vahi reply, abb to sab khatma yahan se reply milega esaki  kya guarantee hai sab jagah se to nahin mila kya yahan se milega?
-Sir please bahut ummid ke saath aai hoon maine suna hai yahan freshers ko mauka dete hai, kai logon ne mujhase kaha aap please aisa mat kahiye.
-Are ham kuchh nahin kar sakate yahan aise hi hota hai aap mail kar do reply jaayega agar aapaki story achchhi hui to…
-Nahin jata…
-To ham kya Karen…
Munh banaati nikali vahan se abb kya kare yahan bhi to aisa hi huaa. Sochate vicharate nikal rahi thi fir laut aai- aap log jo yahan baithate ho andar ke logon ke bajay khud ko hi maalik samajh lete ho… are jab tak meri story dekhenge nahin tab tak kaise pata chalega ki kya hai kaise hai… aur etani achchhi emage hoti enn logon ki aap log use khareb kar dete ho. Vo dekhi nahin thi ki kitane log sun rahe hain aur unhin logon men se ekk                  bhi tha. Shayad unhen dekh kar  hi receptionist chup tha. Fir vo paas aaye bole- kya hai kaun ho tum?
-Sir… main… mera naam Anuradha hai aur main story writer hoon  aur essi liye aap se milana chaahati thi aur yah gmail Id dekar lauta raha hai… sab jagah se to aise hi hota hai…. Sir mainne aapka naam bahut suna hai please aap ekk baar meri story sun len mujhe poora yakin hai ki meri story aapko jarur pasand aayegi… sir bahut logon ne aapke naam ke bare men kaha hai ki main aapse milun aap freshers ko aur UP valon ko khaaskar mauka dete hain please ekk mauka aap mujhe bhi de dijiye bahut ummid lekar aai hoon main aapke pass…
-Ho gaya … aao mere saath….
Vo apane cabin men gaye, baithate huye bole- haan ab sunao kya hai tumhari story…
-Sir sabase pahali baat meri story ka climex aapke ess javab par nirbhar hai ki meri story aapko pasand aati hai ya nahin…
-Vo kaise…?
-Kyonki maine apane story men aapake bare men aur aapke production house ke bare men likha hai…
-Achchha … story kya hai…?
-Sir story ekk laraki ki hai jo Banaras ki hai aur Mumbai men script writer banane aati hai… usi ke stugel ki kahaani hai…
-Achchha … to batao aisa kya hai tumhari story men ki main uss par film banaun…
-Aisa to kuchh bhi nahin hai bas ekk story hai aur Bollywood ki sachchaai hai. Yahan par bhi abb talent yaa hunar yaa kaabiliyat nahin dekhi jaati … abb yah bhi generetic ho gaya hai kisi baahari ko fresher ko mauka dene vaala koi nahin hai aur ekk hi kahani ko tor maror kar baar baar pesh karate hai… kya bare bare writers ki likhi filmen nahin flop hoti hain… aur experience ka poochhate hain aree jab tak koi mauka nahin dega to experience kaise hoga.
-Yahi tumhari story hai…?
-Haan sir essi par aadhaarit hai.
-Thik hai… to puri story sunaao.
Anuradha ne vistar se puri story sunaai. Kahane ko to story thi lekin vo khud ussi ki kahani thi.
 Nayi theme nayi kahani bass ekk mauke ki talaash men hi vo kitane dinon tak bhatak rahi thai.
-Thik hai tum apana contect number de do main batata hoon.
-(Aah! Ye batane vali baat ka entajar to bahut lamba hota hai) Thik hai….
Anuradha number dekar chali aai, abb intajar karana mushkil ho raha tha. Aur edhar nauvan mahina lag gaya tha. Doctor ne din bhi de diya tha. Ekk week bita dow week bita intajar karana bhi dhire dhire khatma hone laga. Soch liya ki shaayad mere liye yah film industry nahin hai bass abb Venkata ki patni banker ess bachche ko paalana hai. Venkata bhi samajhaya chalo chhoro jo ho gaya ho gaya rahane do na abb. Abhi kuchh din ka breck lo fir dekhana, ess sthiti men tumhara baahar durana mujhe achchha nahin lagata. Esake liye to puri zindagi hai aaj nahin to kal hogaa… jarur hoga….
Jo doctor ne date di thi usamen to abhi kafi din baaki tha lekin aaj rat ko usase khaya nahin gaya. Kuchh tabiyat kharaab si lag rahi thi esaliye so gai. Rat ke dow baje ke karib pan shuru huaa. Venkata to ghabara gaya ki abb kya kare. Fir aunty ko bulaaya aur ambulance ka intajar kiye bagair hi gari se lekar hospital pahucha. Subah aath baje Anuradha ne ekk larake ko janma diya.
Usi din karib 11 baje ke aas paas call aai thi ki story select ho gai hai abb aage discus karana hai. Usaki khushi ka thikana nahin raha, aaj dohari khushi mili thi. Aankhon se aansu bahane lage the kyonki yahi ekk mauka paane ke liye usane apani zindagi ka sab kuchh kho diya. Maa bap bhai bahan pariwaar ejjata sab kuchh… abb es bachche ke siwaay usake paas kuchh bhi nahin tha.
Aur abb best filmfear ka award mila best story best content best scrin play best…. Aisa ekk bhi award nahin tha jo esane na jita ho. Film ka naam tha-“ dow ajanabi ekk shahar men”.
      

Archana yadav
7905819455

Pahali mulaakat | Hindi Drama

  Pahali mulaakat   Laraka Laraki Location ek park Dress code   jeans Tshurt sari   Middle class   family hai jisaki lar...